Kisi roz barish mein ghar se nikalna

Kisi roz barish mein ghar se nikalna,
Khizaan mein gire tute patton pe chalna,
Tapakne lage jab darakhton se pani,
Tumhein yaad ayegi beeti kahani,
Ke jab hum kisi shaam tum se mile the,
Mohabbat ke raston pe hum tum chale the,
Teri neeli aankhon mein rang-e-wafa tha,
Kanwal jheel mein jaise khilne laga tha,
Woh sadiyon ke kisse wo batein purani,
Karein yaad kyon kar woh beeti kahani,
Chita kaghzon ki hai kya khojte ho,
Bujhi raakh mein ab kise dhoondhte ho,
Gagan pe jo chhapai thi kis ne mita di,
Dhanak saat ranghon ki kis ne udaa di,
Mohabbat ki shama jala di bujha di,
Ajab ek kahani hai rang-e-wafa ki.

Itni Shiddat Se To Barsaat Be Kam Kam Barse

Itni Shiddat Se To Barsaat Be Kam Kam Barse

Jis Tarah Aankh Teri Yaad Mein Cham Cham Barse

Minnatein Koun Kare Aik Gharonde Ke Liye

Keh Do Baadal Se Barasta Hai To Jam Jam Barse

Ab Ke Barsaat Ki Rut Aur Bhi Bhadkili Hai

Ab Ke Barsaat Ki Rut Aur Bhi Bhadkili Hai
Jism Se Aag Nikalti Hai, Kaban Gili Hai
Sonchta Hoon Ke Ab Anjaam-e-safar Kya Hoga
Log Bhi Kaanch Ke Hain, Raah Bhi Pathrili Hai
Pehle Rag-rag Se Meri Khoon Nichoda Ussne
Ab Ye Kehtha Hai Ke Rangat Hi Meri Peelee Hai
Mujhko Be-rang Hi Na Karde Kahin Rang Itne
Sabz Mausam Hai, Hawa Surkh, Fizaan Gili Hai

basanti sur mein kuchh to gaaiye barsaat ke din hain

basanti sur mein kuchh to gaaiye barsaat ke din hain
suhaane geet phir duhraaiye barssat ke din hain

bohat soona hai shehr-e dil bohat afsurda raahen hain
mere is shehr mein ruk jaaiye barsaat ke din hain

bohat hai muntazir yeh dil kisi nazr-e inayat ka
bohat is dil ko mat tarsaaiye barsaat ke din hain

jahaan ab bhool kar bhi mehrbaan koi naheen aata
wahaan lutf-o-karam farmaaiye barsaat ke din hain

jahaan ham chandni raaton mein tishna kaam rehte hain
wahaan gardish mein saagar laaiye barsaat ke din hain

hamen daar-o-rasan ke pech-o-kham fursat nahin dete
yeh gesoo aap hi suljhaaiye barsaat ke din hain

ab ho chukeen sab khwahishen un se munajaaten
ab apne dil ko khud bahlaaiye barsaat ke din hain

phir lot aayi thi vo barshat ki raat

फिर लौट आई थी वो बरसात की रात
तेरी याद दिलाने आई थी वो बरसात की रात!

मचल गयी थी धड़कने, सिमटा रहा हूँ जिसमे!
दबे दर्द को, जगाने आई थी वो बरसात की रात!

सुख रहे थे जख्म सारे, थोड़ी टिस सी बाकी रही थी बस
फिर मुझको सताने आई थी वो बरसात की रात!

खुद में ही जल रहा था, किनारे से चल रहा था!
संग मुझको बहाने आई थी वो बरसात की रात!
————————————————– —-
========== अजय राय ==============