basanti sur mein kuchh to gaaiye barsaat ke din hain

basanti sur mein kuchh to gaaiye barsaat ke din hain
suhaane geet phir duhraaiye barssat ke din hain

bohat soona hai shehr-e dil bohat afsurda raahen hain
mere is shehr mein ruk jaaiye barsaat ke din hain

bohat hai muntazir yeh dil kisi nazr-e inayat ka
bohat is dil ko mat tarsaaiye barsaat ke din hain

jahaan ab bhool kar bhi mehrbaan koi naheen aata
wahaan lutf-o-karam farmaaiye barsaat ke din hain

jahaan ham chandni raaton mein tishna kaam rehte hain
wahaan gardish mein saagar laaiye barsaat ke din hain

hamen daar-o-rasan ke pech-o-kham fursat nahin dete
yeh gesoo aap hi suljhaaiye barsaat ke din hain

ab ho chukeen sab khwahishen un se munajaaten
ab apne dil ko khud bahlaaiye barsaat ke din hain

Reply